राजस्थान एन.आर.एच.एम नर्सेस एसोसिएशन
| राजस्थान एन.आर.एच.एम नर्सेस एसोसिएशन | |
| Menu | राजस्थान एन.आर.एच.एम नर्सेस एसोसिएशन |
|
• Taaza Khabar • Vote Here • Registration • Our Rights • Contact • Chat • Guestbook • RTI • Government Orders • Download Page • keralanurses |
Taaza Khabar Dated 25-06-2012 - Rajasthan Nursing Assosiaction ka ghatan ho gaya hai iski Karyakari bhi ban gayi hai , Is karyakarini ki meeting 2 July ko JAIPUR mai hogi aap sab logo se request ki jati hai , sabhi 33 lile Turant prabhav se apne apne jilo mai bhi karya karini banave , aur block wise CORE GROUP ka ghatan kare , aap logo ko yeh bhi suchit kiya jata hai ki samarthan patra turant prabhav se leve . Dated 19-06-2012 -Nagaur mai MLA/MP Samarthan Patra Liye jane ka patra , isi terah ka letter apne jile ke letter head head mai bana kar MLA / MP se samarthan patra leve . ![]()
Dated 19-05-2012 Abhi tak tamam analysis yehi keh rahi hai sarkar ka SIDHI- BHARTI ( Interview+ experience+education weightage ) ka vichar nahi hai .....!!! Total ANM in NRHM Now 6500 (approx) . Exam Mai only 5-10% GNM logo ka selection ho sakta hai , yani only 640 log max DEPARTMENTAL EXAM mai select ho payenge , RPSC hui to 2-4% hi select honge . Baki bache 5500 logo ka kya hoga ? kuch nahi 10 ka lamba intizar ? Boss 7469 GNM nurses lene ke baad in 5500 GNM ki sarkar ko koi jarurat nai , aap log strike karo , anshan karo , kyuki health seva apke strike se affect nahi hogi , kyuki 9500 ek bahut bada manpower hai vayavastha chalane ke liye . Ab aap NURSING Karmachario ko socna hai ki kya karna hai ???? Exam ki date ka intizar ya....... kyuki baki sab 3 vargo ki posts Ayush Doc / Asha Supervisor / Accountant 1000-1500 Ki range mai hai , unme 2 varg Ayush doc+Accountant ki future mai kaphi posts niklenhi , Aur remaining 6 vargo ki Sankya 100-700 ke bich mai hai , so unke liye Vacany nikalne ki future mai kaphi gyada gunjaish hai , par GNM Nursing karmchario ki nahi ........so , is baar aap GNM logo KA REGULARIZATION nahi hua to 10th saal baad hi kuch ho payega , means har GNM ko 2022 tak wait karna hoga , par Apprisal ki talwar kya aap bhul payenge , appraisal se 30-50% staff NON PERFORMANACE ke adhar par out ho jayega ...... kyuki Frustration/ tention mai koi perform nahi kar pata hai . Mai yeh samaj pane mai asamrth hu kyu sarkar SIDHI- BHARTI ( Interview + Experience + educational %) ke adhar par REGULAR nahi kar rahi hai , jab ki with evidence hum logo ne letter diye hai ki 2008-09 mai health+ para teacher ko sidhi bharti dwara ki regular kiya gaya hai ...... AB Friends AAP HAR NRHM KARMI KO EK LEADERS KE JAISE DECISION LENA HAI , next step kya lena hai .......Jitna late aap log karenge utna hi aap log EXAM ke najdik pahuch jayenge ......aur fir EXAM dena padega .....aur 85% staff out hoyega . Decision maine nahi .....aap logo ne lena hai ........... FIR SIDHI - BHARTI kaise hogi ????? ![]() SIDHI - BHARTI karvani hai to KANUN (LAW) banana hoga , jisme Vidyak / Prastav parit karna hoga , par wo kaise hoga ? MLA Ke bahumat se pass hoga bill . Fir hum log kya kare :- mai 4 raste suggest kar sakta hu ...... 1. MLA /MP ka ''samarthan patra'' leve jisme likha ho ki ''NRHM KARMI ko sthayi BHARI SIDHI ( Interview+ experience+education weightage ) ke adhar dwara ki jave . 2. Cabinet Mai prastav parit kiya jave , ki NRHM Karmio ki bharti ( SIDHI BHARTI Interview+ experience+education weightage ) ke adhar par ho jaise ki 2008-09 mai para teacher+ health employee ki hui thi. 3. Court mai case lagaya jave ki sabhi NRHM kario ki niyukti SIDHI- BHARTI( Interview+ experience+education weightage ) ke adhar par ho . 4. ANSCHIT KALIN MAHA AVKASH / MAHA ANSHAN - Kyuki yeh sabhi jaan leve ki is baar nahi to kabhi bhi nahi , aur ab time waste karke kuch nahi hoga . Faisla aap logo ne karna hai ? POST CREATION ke baad agar bharti EXAM ke adhar par hote hai to sabse gyada NUKSAN NURSING ( NURSE GRADE2) ka hoga , ya bai kahu ki kuch bhi nahi bachega NURSING DIVISION KA ......... Kiase ? REASON Check kare : - Total post shall be created for NURSE GRADE 2 is 7469 7469 post ke baad ane wale 9 saalo tak koi bhi nursing mai post create nahi hogi . |